An attempt made to write in Hindi titled 'Who has seen tomorrow?'
Kalko kisne dekha?
Aajkho humne bi dekha!
Kaljo likkha, such hai kya
haath ki ye sunhari rekha? [1]
Kuch sunhaira, kuch siyaah.
Is pal ya us pal, hum ko kya patha?
Kaun haara, kaun jeetha! Kaun aaya, kaun gayaa?
Aap ya hum, Aaj ya kal, kisko kya patha? [2]
Waqt ka bankar saudagar
Apna banana chaha ye lamha.
Haasil nahi hua ye muqaddar,
Baha kar Ansu sabaq humne bi seeka. [3]
Kamoshike saath tha hamara dosti,
Waqt ka na sun rahe the hum koi Naghmaah.
Doob rahi thi rooh ki yeh Kashti,
Buj rahi thi shamaa-e-hasti, hum ko kaise patha? [4]
Humne aapko dekha, Aapne bi.
Pyarse ya nafrat se, is laHzah ko kya patha?
Puchiye un be-khataa dilonse,
huve hai jo waqt ka saayese tabaah. [5]
Kaun chala Paidal, Kaun Jahaazse?
Manzil haasil hone par tarkeeb ki kya chinta!
Kaun soye aasmanki chaadar par, kaun mahalki,
Badal saktha hai kya rukh yeh haseen khwaabonka? [6]
Raah dekh raha tha us Manzar ka,
Bauchare gir ayi Falak se yadhonka.
Magar nazaarah na raha us mausam ka,
sirf waqt ke sakht bazooonse fana ho chuka silsilah. [7]
Thanhai ki is dagar me, kwabonki in parwaaz par
Akancha , Aashiyaane badal gayi, Zamaanah guzar gaya.
Manzil na mili, chain na mila,
Tabdeeli waqt ka ye 'ajab daastaan! [8]
Kal ko kisne dekha?
Aaj tho humne bi dekha!
Kal jo likkha, such hai kya
haath ki ye sunhari rekha? [1]
akancha
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment